Taaron Ka Chamakta
Bali Brahmbhatt
Taaron Ka Chamakta 歌词
Taaron ka chamakta gehna ho
Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mehakti vaadi ho
Us ghar mein khushali aaye
Jis ghar mein tumhari shaadi ho
Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mehakti vaadi ho
Us ghar mein khushali aaye
Jis ghar mein tumhari shaadi ho
Yeh phool tumhare zevar hai
Yeh chaand tumhara aaina
Tum jab aise sharmati ho
Dulhe ka dhadakta hai seena
Har aaina tumko dekhe
Tum toh aisi shehzadi ho
Us ghar mein khushali aaye
Jis ghar mein tumhari shaadi ho
Meri behna hai phool baharon ka
Meri behna hai noor nazaron ka
Meri behna ke jaisi koi behna nahi
Bina iske kahin bhi mujhe rehna nahi
Jaise hai chaand sitaron mein
Meri behna hai ek hazaron mein
Hum jaise bhole bhaalo ki
Yeh duniya toh hai dilwalo ki
Yeh duniya hai dilwalo ki
Yeh duniya hai dilwalo ki
Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mehakti vaadi ho
Us ghar mein khushali aaye
Jis ghar mein tumhari shaadi ho
Khushiyon ke mahalon mein baitho
Koi gham na tumhare paas aaye
Na umar ka pehra ho tumpe
Meri dil ki dua yeh rang laaye
Rab hasta hua rakhe tumko
Tum toh hasne ki aadi ho
Us ghar mein khushali aaye
Jis ghar mein tumhari shaadi ho
Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mehakti vaadi ho
Us ghar mein khushali aaye
Jis ghar mein tumhari shaadi ho
Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mehakti vaadi ho
Us ghar mein khushali aaye
Jis ghar mein tumhari shaadi ho